Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics

Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics

Ya Nabi nazri Karam farmana

Aye Hasnain ke Nana, Ae hasnain ke Nana

Zahra Pak ke sadke, Humko Taiba mein Bulvana

Aye Hasnain ke Nana, Ae Hasnain ke Nana 🌹

Aapke Dar ka Hun main Bhikhari, Aap Hain Mere Daata

Sare Rishte Naaton Se Hai pyara apna NATA

Aap To Hain, Aata Hai Jinko Sab ki Laaj Nibhaanaa

Aye Hasnain ke Nana, Ae Hasnain ke Nana 🌹

Be Saaya Hai Lekin Do jag per hai Aapka saaya

Arsh-e-Mu’Allah bana Mohalla, Deed ko Rab ne Bulaya

Hashar Talaq Na Hoga Kisi ka, Aisa Aana Jana

Aye Hasnain ke Nana, aye Hasnain ke Nana 🌹

Saj Gayi Hai Milad Ki Mehfil, Kia Hai Khoob Nazara

Kaif-o-Masti Mein Dooba Hai, Dekho Aalam Sara

Dhundh Rahi hai Aapke Rehmat, Bakhshish ka Bahana

Aye Hasnain ke Nana, Aye Hasnain ke Nana 🌹

Nisbat ka Faizan Hai Dekho, Khadim e Ghous-e- jali Hun

Karta Hai Mujhpe Naaz Zamana, Main Ausaaf-e-Ali Hoon

Aapki Aal. ke Dar ka sag Hoon, Saail Hoon Purana

Aye Hasnain ke Nana, Aye Hasnain ke Nana 🌹

More Naats On Our Website

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top